Friday, March 19, 2010

U

Koi diwana kehta hai, koi pagal samajhta hai,
Magar dharti ki baichani ko bas badal samajhta hai.
Main tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai,
Yeh tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai.

Mohabbat ek ehsason ki pawan si kahani hai,
Kabhi kabira diwana tha, kabhi mira diwani hai.
Yahan sab log kahte hain meri aankhon mein ansoon hain,
Jo tu samjhe to moti hai, jo na samjhe to pani hai.

Samandar pir ka andar hai lekin ro nahin sakta,
Yeh ansoon pyar ka moti hai, isko kho nahin sakta.
Meri chahat ko dulhan tu bana lena, magar sun le,
Jo mera ho nahin paya, woh tera ho nahin sakta.

Bhramar koi kumudini par machal baitha to hungama,
humaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama.
Abhi tak dhoob kar sunte the sab kissa mohabbat ka
Main kisse ko haqiqat mein badal baitha to hungama

No comments:

Post a Comment